Baad Muddat Mile Kuchh Kaha Na Suna Bhar Gae ZaKHm Purwaiyan So Gain

baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain

kanghi karti hui reshmi zulf mein meri betab si ungliyan so gain

aaj alhaD pujaran wo aai nahin dil ke mandir mein ghanTi bajai nahin

aas ke sab diye TimTimane lage mere jazbaat ki ghanTiyan so gain

ab fazaon mein KHushbu mahakti nahin ab wo pagal hawaen thirakti nahin

ek to kar gai kya akela mujhe lahlahati hui wadiyan so gain

us ke hathon mein chuDi khanakti nahin us ke pairon mein pael jhanakti nahin

chhoD di main ne jab se gali pyar ki us ke kanon ki bhi baaliyan so gain

ek nadi ke kinare base ganw mein guzra bachpan mera chand ki chhanw mein

hum baDe jab hue ajnabi ho gae dil ke mandir ki sab dewiyan so gain

ghaT dil ka mere aaj sunsan hai koi gopi nahane ab aati nahin

meri murli ki dhun ab larazne lagi mere madhuban ki sab gopiyan so gain

aam ke peD shadab hain aaj bhi baurte aur phalte bhi hain wo magar

ab wo jhule kahan ab wo kajri kahan wo lachakti hui Daliyan so gain

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baad Muddat Mile Kuchh Kaha Na Suna Bhar Gae ZaKHm Purwaiyan So Gain In English By Famous Poet Ateeq Anzar. Baad Muddat Mile Kuchh Kaha Na Suna Bhar Gae ZaKHm Purwaiyan So Gain is written by Ateeq Anzar. Read famous Poem Baad Muddat Mile Kuchh Kaha Na Suna Bhar Gae ZaKHm Purwaiyan So Gain for youth and Student by Ateeq Anzar. Free Download Baad Muddat Mile Kuchh Kaha Na Suna Bhar Gae ZaKHm Purwaiyan So Gain in PDF.