An-ginat Azab Hain Ratjagon Ke Darmiyan

an-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan

dard be-hisab hain ratjagon ke darmiyan

ban chuka hai dil sawal ab kisi ke hijr mein

is pe la-jawab hain ratjagon ke darmiyan

ashk rok rok ab shal hue hain hausle

har samay itab hain ratjagon ke darmiyan

kash wo mile kahin to bataun main use

kis qadar sarab hain ratjagon ke darmiyan

sau charagh jal bujhe tirgi na kam hui

mustaqil hijab hain ratjagon ke darmiyan

kya bataun haal main us ko apne dard ka

wahshaton ke bab hain ratjagon ke darmiyan

wo jinhen KHabar nahin qalb-e-na-subur ki

chaar-su janab hain ratjagon ke darmiyan

ek gham chala gaya dusre ne aa liya

silsile shitab hain ratjagon ke darmiyan

rakh-rakhaw mein sada rah ke aaj tak yahan

haalaten KHarab hain ratjagon ke darmiyan

zindagi ki dauD mein pichhli rut ke KHwab sab

ab bhi ham-rikab hain ratjagon ke darmiyan

aaj ye khula 'safi' jaan ke aur gham kai

shamil-e-nisab hain ratjagon ke darmiyan

(1201) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

An-ginat Azab Hain Ratjagon Ke Darmiyan In English By Famous Poet Ateequrrahman Safi. An-ginat Azab Hain Ratjagon Ke Darmiyan is written by Ateequrrahman Safi. Read famous Poem An-ginat Azab Hain Ratjagon Ke Darmiyan for youth and Student by Ateequrrahman Safi. Free Download An-ginat Azab Hain Ratjagon Ke Darmiyan in PDF.