Farzanon Ki Is Basti Mein Ek Ajab Saudai Hai

farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai

kis ke liye ye haal hai us ka kaun aisa harjai hai

kis ke liye phirta hai akela shahr ke hangamon se dur

kaun hai jis ki KHatir us ko tanhai ras aai hai

kis ke lab o ruKHsar ki baaten Dhal jati hain ghazlon mein

kis ke KHam-e-kakul ki kahani wajh-e-suKHan-arai hai

kaun hai jis ki mahrumi ke dagh hain us ke sine mein

kaun hai jis ke KHwabon ki ek duniya main ne sajai hai

kyun us ki aashufta-sari ka charcha hai hum logon mein

kyun itni pur-kaif-o-soz us ki shab-e-tanhai hai

'athar' aao hum bhi us ke dil ki baaten sun aaen

kahte hain diwana hai wo wahshi hai saudai hai

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farzanon Ki Is Basti Mein Ek Ajab Saudai Hai In English By Famous Poet Athar Nafees. Farzanon Ki Is Basti Mein Ek Ajab Saudai Hai is written by Athar Nafees. Read famous Poem Farzanon Ki Is Basti Mein Ek Ajab Saudai Hai for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Farzanon Ki Is Basti Mein Ek Ajab Saudai Hai in PDF.