Gham Ke Baadal Dil-e-nashad Pe Aise Chhae

gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

saya-e-gul mein bhi hamraaz na hansne pae

yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai

jis tarah sham ki banhon mein sitare aae

waqt ki dhup mein hum saya-e-hasrat ban kar

do ghaDi ku-e-tamanna mein na chalne pae

zindagi mauj-e-talatum ki tarah ruk na saki

yun to har moD pe tufan hazaron aae

is se manzil ka pata puchh rahi hai duniya

jis ka manzil ke tasawwur se bhi ji ghabrae

'raaz' ehsas ke aangan mein hon tanha tanha

ghup andhera hai magar sath hain gham ke sae

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ke Baadal Dil-e-nashad Pe Aise Chhae In English By Famous Poet Athar Raz. Gham Ke Baadal Dil-e-nashad Pe Aise Chhae is written by Athar Raz. Read famous Poem Gham Ke Baadal Dil-e-nashad Pe Aise Chhae for youth and Student by Athar Raz. Free Download Gham Ke Baadal Dil-e-nashad Pe Aise Chhae in PDF.