Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai

aane wala to har ek lamha guzar jata hai

wo ghubar uDta hai ambar sa dhar jata hai

kaun se ghaar mein gir jata hai manzar sara

kin KHalijon mein bhara-shahr utar jata hai

pattiyan sukh ke jhaD jati hain chhaT jate hain phal

jis ko mausam kaha karte hain wo mar jata hai

lams ki shiddaten mahfuz kahan rahti hain

jab wo aata hai kai fasle kar jata hai

intizar ek baDi umr ka daryuza-gar

jo bhi aata hai koi sil yahan dhar jata hai

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai In English By Famous Poet Atiiqullah. Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai is written by Atiiqullah. Read famous Poem Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Aane Wala To Har Ek Lamha Guzar Jata Hai in PDF.