Kuchh Aur Din Abhi Us Ja Qayam Karna Tha

kuchh aur din abhi us ja qayam karna tha

yahan charagh wahan par sitara dharna tha

wo raat nind ki dahliz par tamam hui

abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha

mata-e-chashm-e-tamanna ye ashk aur ye KHak

rag-e-KHayal se is ko tulua karna tha

nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan

tamam hoti hui shab ke nam karna tha

gurez karti hui mauj aab-e-sar par thi

aur ek pal ke sire par mujhe Thaharna tha

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aur Din Abhi Us Ja Qayam Karna Tha In English By Famous Poet Atiiqullah. Kuchh Aur Din Abhi Us Ja Qayam Karna Tha is written by Atiiqullah. Read famous Poem Kuchh Aur Din Abhi Us Ja Qayam Karna Tha for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Kuchh Aur Din Abhi Us Ja Qayam Karna Tha in PDF.