Mujhse Be-zaro Na Yun Sang Se Maro Mujhko

mujh se be-zaro na yun sang se maro mujh ko

is se behtar hai ki patthar hi bana do mujh ko

kya wahi hun main abhi jis ki talab thi tum ko

mujh ko DhunDo mere pahchanne walo mujh ko

waqt tezab ki manind jhulas de na kahin

apne KHakistar-e-mazi mein daba do mujh ko

mujh se shamil hain kai KHwab-guzin sannaTe

aur nazdik zara aa ke sada do mujh ko

fasle kab kisi insan ko ras aae hain

tum jo bichhDe ho to kis tarah na gham ho mujh ko

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Be-zaro Na Yun Sang Se Maro Mujhko In English By Famous Poet Atiiqullah. Mujhse Be-zaro Na Yun Sang Se Maro Mujhko is written by Atiiqullah. Read famous Poem Mujhse Be-zaro Na Yun Sang Se Maro Mujhko for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Mujhse Be-zaro Na Yun Sang Se Maro Mujhko in PDF.