Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai

nigah koi to tufan mein mehrban si hai

har ek mauj samundar ki paedan si hai

har ek shaKHs ko gahak samajh ke KHush rakhna

ye zindagi bhi hamari koi dukan si hai

main aasman ki tarah muddaton se Thahra hun

badan mein phir bhi zamin jaisi kuchh thakan si hai

dukhon ka kya hai ye aate hain tir ki manind

KHushi hamesha mere waste kaman si hai

qadam sambhaal ke rakhna hasin rahon par

phisal gae to phir aage baDi Dhalan si hai

zaban munh mein hamare thi jab ghulam the hum

hamare munh mein magar ab to bas zaban si hai

ab aae din hi nikalta hai aansuon ka julus

hamari aankh musalsal lahuluhan si hai

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai In English By Famous Poet Atul Ajnabi. Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai is written by Atul Ajnabi. Read famous Poem Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai for youth and Student by Atul Ajnabi. Free Download Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai in PDF.