Bhali Ho Ya Ki Buri Har Nazar Samajhta Hai

bhali ho ya ki buri har nazar samajhta hai

har ek shaKHs ki aahaT ko ghar samajhta hai

har ek dar ko wo apna hi dar samajhta hai

magar zamana use dar-ba-dar samajhta hai

phal aur shaKH samajhne mein chuk jaen magar

hai kis jagah ka parinda shajar samajhta hai

kuchh is tarah se dikhata hai wo hunar apna

ki jaise sab ko yahan be-hunar samajhta hai

(1901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhali Ho Ya Ki Buri Har Nazar Samajhta Hai In English By Famous Poet Atul Ajnabi. Bhali Ho Ya Ki Buri Har Nazar Samajhta Hai is written by Atul Ajnabi. Read famous Poem Bhali Ho Ya Ki Buri Har Nazar Samajhta Hai for youth and Student by Atul Ajnabi. Free Download Bhali Ho Ya Ki Buri Har Nazar Samajhta Hai in PDF.