KHwahishen Duniya Ki Bar-e-dosh-o-gardan Ho Gain

KHwahishen duniya ki bar-e-dosh-o-gardan ho gain

rafta rafta manzil-e-uqba ki rahzan ho gain

ye hawa kaisi chali is tangna-e-dahr mein

shahr jangal ho gae aabaadiyan ban ho gain

chal su-e-gor-e-gariban ai haris-e-mal-o-zar

dekh kitni aarzuen nazr-e-madfan ho gain

kaisi ranga-rang shaklen hongi ai josh-e-bahaar

miT ke jo gulguna-e-ruKHsar-e-gulshan ho gain

khul nahin sakti kabhi kaifiyyat-e-bughz-o-hasad

meri aahen parda-e-namus-e-dushman ho gain

mere naghmon ne jo pai qalb-e-gulshan mein jagah

shaKH-e-gul par bulbulen bar-e-nasheman ho gain

jab mere nale hue qadd-e-sanobar se buland

bulbulen sakit sar-e-diwar-e-gulshan ho gain

jama-e-hasti hua sad-chaak jab misl-e-sahr

zinaten duniya ki garda-gard-e-daman ho gain

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwahishen Duniya Ki Bar-e-dosh-o-gardan Ho Gain In English By Famous Poet Auj Lakhnavi. KHwahishen Duniya Ki Bar-e-dosh-o-gardan Ho Gain is written by Auj Lakhnavi. Read famous Poem KHwahishen Duniya Ki Bar-e-dosh-o-gardan Ho Gain for youth and Student by Auj Lakhnavi. Free Download KHwahishen Duniya Ki Bar-e-dosh-o-gardan Ho Gain in PDF.