Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya

aankh ki dahliz se utra to sahra ho gaya

qatra-e-KHun paniyon ke sath ruswa ho gaya

KHak ki chadar mein jism o jaan simaTte hi nahin

aur zamin ka rang bhi ab dhup jaisa ho gaya

ek ek kar ke mere sab lafz miTTi ho gae

aur is miTTi mein dhans kar main zamin ka ho gaya

tujh se kya bichhDe ki aankhen reza reza ho gain

aaina TuTa to ek aaina-KHana ho gaya

ai hawa-e-wasl chal phir se gul-e-hijran khila

sar uTha phir ai nihaal-e-gham sawera ho gaya

ai jamal-e-fan use mat ro ki tan-asan tha

teri duniyaon ka 'KHawar' sarf-e-duniya ho gaya

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya In English By Famous Poet Ayub Khawar. Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya in PDF.