Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil

tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil

koi batae ab us ka kare to kya kare dil

fusun-e-jumbish-e-mizhgan na puchhiye sar-e-rah

pukarte hi rahe hum are are are dil

phir is ke baad hamein ye bhi to nahin raha yaad

nazar giri hai kahan kho gaya kahan zar-e-dil

qadam qadam pe tera gham hai KHema-zan meri jaan

humak bhare bhi to aaKHir bata kahan bhare dil

ye kunj-e-lab ye KHumar-e-visal apni jagah

magar jo hijr musalsal bapa hai barsar-e-dil

ye tu jo mohr-ba-lab hai to kis liye 'KHawar'

ye dekh kya hai tah-e-dil hai aur kya sar-e-dil

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil In English By Famous Poet Ayub Khawar. Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil in PDF.