Lamha Lamha Ek Nai Sai-e-baqa Karti Hui

lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

kaT rahi hai zindagi KHud ko fana karti hui

teri chup hai ya mere andar macha kohram hai

koi shai to hai zaban ko be-nawa karti hui

apne andar reza reza TuT kar bikhra hun main

hai ye kya shai chor dil ka aaina karti hui

kisht-e-jaan se din ko kaTti hai nae zaKHmon ki fasl

raat aati hai inhen phir se hara karti hui

mere hone se na hone ka sabab paida hua

mujh ko hasti hi thi KHud mujh se juda karti hui

maut to 'azad' hai aazadiyon ka ek jahan

zindagi hai har nafas KHud ko riha karti hui

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Lamha Ek Nai Sai-e-baqa Karti Hui In English By Famous Poet Azad Gulati. Lamha Lamha Ek Nai Sai-e-baqa Karti Hui is written by Azad Gulati. Read famous Poem Lamha Lamha Ek Nai Sai-e-baqa Karti Hui for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Lamha Lamha Ek Nai Sai-e-baqa Karti Hui in PDF.