Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun

main bichhaD kar tujh se teri ruh ke paikar mein hun

tu meri taswir hai main tere pas-manzar mein hun

apna markaz DhunDta hun daeron mein kho ke main

kitne janmon se main ek mahdud se chakkar mein hun

KHud hi dastak de raha hun apne dar par der se

ghar se bahar rah ke bhi jaise main apne ghar mein hun

main wo aazar hun jise barson rahi apni talash

KHud hi murat ban ke poshida har ek patthar mein hun

dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le

main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun

gunjta hun apne andar aur kho jata hun main

ek sada ban kar ana ke gumbad-e-be-dar mein hun

main kabhi ek jhil tha phaile hue sahraon mein

aaj main ek pyas ka sahra hun aur sagar mein hun

maut ko 'azad' ye irfan dena hai mujhe

kaTti hai mujh ko jis se wo main us KHanjar mein hun

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun In English By Famous Poet Azad Gulati. Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun is written by Azad Gulati. Read famous Poem Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun in PDF.