Kabhi Nakaamiyon Ka Apni Hum Matam Nahin Karte

kabhi nakaamiyon ka apni hum matam nahin karte

muqaddar mein jo gham likkhe hain un ka gham nahin karte

tumhaare naqsh-e-pa par jo nigahen apni rakhte hain

wo sar dair-o-haram ke samne bhi KHam nahin karte

ghaTaon ko barasne ka ishaara hi nahin milta

wo jab tak zulf apne dosh par barham nahin karte

masail daur-e-hazir ke hain mauzua-e-ghazal kuchh yun

ki shair aaj ke zikr-e-gul-o-shabnam nahin karte

ise tahzib-e-gham ka nam ahl-e-dard dete hain

mere aansu kabhi daman tumhaara nam nahin karte

samajhte hain ise ahl-e-nazar saman-e-KHud-bini

shikasta aaine ka wo kabhi matam nahin karte

andheron ki shikayat kya andhere phir andhere hain

ujale bhi sitam is daur mein kuchh kam nahin karte

mohabbat kis se hum karte hain kuchh batla nahin sakte

ye hai wo raaz jis mein dil ko bhi mahram nahin karte

farebon se kahan tak dil ko hum 'azad' bahlaen

sarab-e-dasht shiddat tishnagi ki kam nahin karte

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Nakaamiyon Ka Apni Hum Matam Nahin Karte In English By Famous Poet Azad Gurdaspuri. Kabhi Nakaamiyon Ka Apni Hum Matam Nahin Karte is written by Azad Gurdaspuri. Read famous Poem Kabhi Nakaamiyon Ka Apni Hum Matam Nahin Karte for youth and Student by Azad Gurdaspuri. Free Download Kabhi Nakaamiyon Ka Apni Hum Matam Nahin Karte in PDF.