Dil Ko Rahin-e-lazzat-e-darman Na Kar Sake

dil ko rahin-e-lazzat-e-darman na kar sake

hum un se bhi shikayat-e-hijran na kar sake

is tarah phunk mera gulistan-e-arzu

phir koi tere baad ise viran na kar sake

mahngi thi is qadar tere jalwon ki raushni

hum apni ek sham firozan na kar sake

bichhDe rahe to aur bhi ruswa karenge log

tum bhi ilaj-e-gardish-e-dauran na kar sake

dil un ke hath se bhi gaya hum se bhi gaya

shayad wo pas-e-KHatir-e-mehman na kar sake

un par bhi aashkar ho kyun apne dil ka haal

hum is mata-e-dard ko arzan na kar sake

'azam' hazar bar luTe rah-e-ishq mein

lekin kabhi shikayat-e-dauran na kar sake

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Rahin-e-lazzat-e-darman Na Kar Sake In English By Famous Poet Azam Chishti. Dil Ko Rahin-e-lazzat-e-darman Na Kar Sake is written by Azam Chishti. Read famous Poem Dil Ko Rahin-e-lazzat-e-darman Na Kar Sake for youth and Student by Azam Chishti. Free Download Dil Ko Rahin-e-lazzat-e-darman Na Kar Sake in PDF.