Rasm-e-andesha Se Farigh Hue Hum

rasm-e-andesha se farigh hue hum

apne daman ki shikan mein simTe

kaf-e-ayyam ki pur-pech lakiron mein kahin

apne aainda-e-nadida se sahme hue hum

gah ijmal-e-guzishta pe gulu-gir hue

jaise dhul jaega bechaari riwayat ke shanon ka ghubar

chand bimar iradon ki ayaadat chahi

gah nayab duaon ka shumar

aur taqrir ke pechida sawalat ko dohraate hue

ek ek kar ke sab ahbab ne ruKHsat chahi

rasm-e-andesha ki taqrib-e-mulaqat se farigh hue hum

rasm-e-andesha kisi aur zamane ka gunah

aur duniyaon ka jurm

jis ki zanjir-e-mukafat mein uljhe hue hum

apne ajdad ke aasar ke derina faqir

kasa-bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain

maut bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain

maut aur wasl ki tabir pe sargarm-e-kalam

apni tariKH ka insaf baja late hain

rasm-e-andesha ki tariKH-e-mukafat

ke mare hue hum

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasm-e-andesha Se Farigh Hue Hum In English By Famous Poet Azar Tamanna. Rasm-e-andesha Se Farigh Hue Hum is written by Azar Tamanna. Read famous Poem Rasm-e-andesha Se Farigh Hue Hum for youth and Student by Azar Tamanna. Free Download Rasm-e-andesha Se Farigh Hue Hum in PDF.