Fughan Se Tark-e-fughan Tak Hazar Tishna-labi Hai

fughan se tark-e-fughan tak hazar tishna-labi hai

sukut bhi to ek andaz-e-muddaa-talabi hai

bahut dinon mein hua ahl-e-arzu ko mayassar

wo qurb-e-KHas jahan teri yaad be-adabi hai

KHayal-e-tark-e-talluq junun-e-qat-e-marasim

tamam sai-e-talab hai tamam tishna-labi hai

sukut-e-shoala-e-gul hai ki tera paikar-e-rangin

wo aanch aati hai jaise badan mein aag dabi hai

usi ke faiz se aashob-e-agahi hai gawara

nigah-e-naz hai ya mauj-e-baada-e-unabi hai

na jaane kis tarah tai hoga tishnagan-e-karam se

wo marhala ki jahan arz-e-haal be-adabi hai

faza to naghma-e-gul se bhi chaunk uThi hai lekin

teri shagufta-labi phir wahi shagufta-labi hai

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fughan Se Tark-e-fughan Tak Hazar Tishna-labi Hai In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Fughan Se Tark-e-fughan Tak Hazar Tishna-labi Hai is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Fughan Se Tark-e-fughan Tak Hazar Tishna-labi Hai for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Fughan Se Tark-e-fughan Tak Hazar Tishna-labi Hai in PDF.