Wahi Yaksaniyat-e-sham-o-sahar Hai Ki Jo Thi

wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi

zindagi dast-ba-dil KHak-basar hai ki jo thi

dekh kar bhi tere jalwe nahin dekhe jate

wahi pabandi-e-adab-e-nazar hai ki jo thi

tujh se mil kar bhi gham-e-hijr ki talKHi na miTi

ek hasrat si ye andaz-e-digar hai ki jo thi

shoala-e-dard bujhe der hui hai lekin

wahi tabindagi-e-dida-e-tar hai ki jo thi

tu meri jaan nahin ab magar ai jaan-e-'azim'

zindagi ab bhi teri dast-nigar hai ki jo thi

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Yaksaniyat-e-sham-o-sahar Hai Ki Jo Thi In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Wahi Yaksaniyat-e-sham-o-sahar Hai Ki Jo Thi is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Wahi Yaksaniyat-e-sham-o-sahar Hai Ki Jo Thi for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Wahi Yaksaniyat-e-sham-o-sahar Hai Ki Jo Thi in PDF.