Bich Dilon Mein Utra To Hai

bich dilon mein utra to hai

dard tera albela to hai

rup tera ai raj-kumari

jaise meri rachna to hai

chand ko tum aawaz to de lo

ek musafir tanha to hai

srijan-haara srijan-haara

tujh bin baalak bilka to hai

sirr-e-alam kuchh kuchh hum ne

socha to hai jaana to hai

kitni subhen barham hongi

shoala imshab bhaDka to hai

kahne wale kahta ja tu

sunne wala sunta to hai

muzd kabhi barbaad na hogi

nazd-o-dur ye charcha to hai

marg ko yun be-nam na samjho

ek taKHayyul ujla to hai

subh-e-ishq akeli kab hai

sham-e-gham ka pahra to hai

maggham maggham pinhan pinhan

baat ka afsun gahra to hai

KHwab sahi gar naqsh-e-alam

insan aata jata to hai

khoj mein us ki barson phir ke

chand-nagar pahchana to hai

raste baste bagh mein yaro

marg ka har-dam khaTka to hai

tera 'azim' ai jaan-e-alam

'mir' ki lai mein gata to hai

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bich Dilon Mein Utra To Hai In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Bich Dilon Mein Utra To Hai is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Bich Dilon Mein Utra To Hai for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Bich Dilon Mein Utra To Hai in PDF.