Mujhko Itna To Yaqin Hai Main Hun

mujh ko itna to yaqin hai main hun

aur jab tak ye zamin hai main hun

is se aage main kahan tak sochun

aadmi jitna zahin hai main hun

ye jise sath liye phirta hun

ye koi aur nahin hai main hun

ek chhoTa sa mahal sapnon ka

jis mein ek mah-jabin hai main hun

ghar ke bahar hai koi mujh jaisa

aur jo ghar mein makin hai main hun

mere malbe pe khaDe hain sab log

dekhta koi nahin hai main hun

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Itna To Yaqin Hai Main Hun In English By Famous Poet Azhar Abbas. Mujhko Itna To Yaqin Hai Main Hun is written by Azhar Abbas. Read famous Poem Mujhko Itna To Yaqin Hai Main Hun for youth and Student by Azhar Abbas. Free Download Mujhko Itna To Yaqin Hai Main Hun in PDF.