Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai

bhanwar se ye jo mujhe baadban khinchta hai

zarur koi hawaon ke kan khinchta hai

kisi badan ki sayahat niDhaal karti hai

kisi ke hath ka takiya thakan khinchta hai

nashist ke to talabgar hi nahin hum log

hamare panw se kyun paedan khinchta hai

badal ke dekh chuki hai reaya sahib-e-taKHt

jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai

dikha raha hai KHaridar ban ke aaj mujhe

jise lapeT ke rakhkhun wo than khinchta hai

charaghon mein wo charagh is liye numayan hai

hum aise dekhne walon ka dhyan khinchta hai

ye sara jhagDa tere inhimak ka hi to hai

sameTta hai koi dastan khinchta hai

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai In English By Famous Poet Azhar Faragh. Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Bhanwar Se Ye Jo Mujhe Baadban Khinchta Hai in PDF.