Har Ek Raat Ko Mahtab Dekhne Ke Liye

har ek raat ko mahtab dekhne ke liye

main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye

na jaane shahr mein kis kis se jhuT bolunga

main ghar ke phulon ko shadab dekhne ke liye

isi liye main kisi aur ka na ho jaun

mujhe wo de gaya ek KHwab dekhne ke liye

kisi nazar mein to rah jae aaKHiri manzar

koi to ho mujhe gharqab dekhne ke liye

ajib sa hai bahana magar tum aa jaana

hamare ganw ka sailab dekhne ke liye

paDosiyon ne ghalat rang de diya 'azhar'

wo chhat pe aaya tha mahtab dekhne ke liye

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Raat Ko Mahtab Dekhne Ke Liye In English By Famous Poet Azhar Inayati. Har Ek Raat Ko Mahtab Dekhne Ke Liye is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Har Ek Raat Ko Mahtab Dekhne Ke Liye for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Har Ek Raat Ko Mahtab Dekhne Ke Liye in PDF.