Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain

kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain

mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain

zihanaton ko kahan waqt KHun bahane ka

hamare shahr mein kirdar qatl hote hain

faza mein hum hi banate hain aag ke manzar

samundaron mein hamin kashtiyan Dubote hain

palaT chalen ki ghalat aa gae hamin shayad

rais logon se milne ke waqt hote hain

main us dayar mein hun be-sukun barson se

jahan sukun se ajdad mere sote hain

guzar dete hain umren KHulus ki KHatir

purane log bhi 'azhar' ajib hote hain

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain In English By Famous Poet Azhar Inayati. Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain in PDF.