Dil Ki Gali Mein Chand Nikalta Rahta Hai

dil ki gali mein chand nikalta rahta hai

ek diya ummid ka jalta rahta hai

jaise jaise yaadon ki lau baDhti hai

waise waise jism pighalta rahta hai

sargoshi ko kan taraste rahte hain

sannaTa aawaz mein Dhalta rahta hai

manzar manzar ji lo jitna ji pao

mausam pal pal rang badalta rahta hai

rakh hui jati hai sari hariyali

aankhon mein jangal sa jalta rahta hai

tum jo gae to bhul gae sari baaten

waise dil mein kya kya chalta rahta hai

(2559) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Gali Mein Chand Nikalta Rahta Hai In English By Famous Poet Azhar Iqbal. Dil Ki Gali Mein Chand Nikalta Rahta Hai is written by Azhar Iqbal. Read famous Poem Dil Ki Gali Mein Chand Nikalta Rahta Hai for youth and Student by Azhar Iqbal. Free Download Dil Ki Gali Mein Chand Nikalta Rahta Hai in PDF.