Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya

wo mahtab abhi baam par nahin aaya

meri duaon mein shayad asar nahin aaya

bahut ajib hai yaron bulandiyon ka tilism

jo ek bar gaya lauT kar nahin aaya

ye kaenat ki wusat khuli nahin mujh par

main apni zat se jab tak guzar nahin aaya

bahut dinon se hai be-shakl si meri miTTi

bahut dinon se koi kuza-gar nahin aaya

bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha

phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya

hum ab bhi dasht mein KHema lagae baiThe hain

hamare hisse mein apna hi ghar nahin aaya

zamin banjh na ho jae kuchh kaho 'azhar'

suKHan ki shaKH pe kab se samar nahin aaya

(2296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya In English By Famous Poet Azhar Iqbal. Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya is written by Azhar Iqbal. Read famous Poem Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya for youth and Student by Azhar Iqbal. Free Download Wo Mahtab Abhi Baam Par Nahin Aaya in PDF.