Dekhiye Chalta Hai Paimana Kidhar Se Pahle

dekhiye chalta hai paimana kidhar se pahle

bazm mein shor hai har samt idhar se pahle

gham ki tarik ghaTaon se pareshan na ho

tirgi hoti hai aasar-e-sahar se pahle

aap jis rahguzar se hain guzarne wale

hum guzar aae hain us rahguzar se pahle

mujh se dekhe nahin jate hain kisi ke aansu

ponchh lo ashk zara dida-e-tar se pahle

husn wale to bahut phirte hain har su lekin

tum sa koi nahin guzra hai nazar se pahle

ek manzil hai magar rah kai hain 'azhar'

sochna ye hai ki jaoge kidhar se pahle

(564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhiye Chalta Hai Paimana Kidhar Se Pahle In English By Famous Poet Azhar Lakhnawi. Dekhiye Chalta Hai Paimana Kidhar Se Pahle is written by Azhar Lakhnawi. Read famous Poem Dekhiye Chalta Hai Paimana Kidhar Se Pahle for youth and Student by Azhar Lakhnawi. Free Download Dekhiye Chalta Hai Paimana Kidhar Se Pahle in PDF.