Dariche So Gae Shab Jagti Hai

dariche so gae shab jagti hai

mere kamre mein kaisi KHamushi hai

jidhar dekho fasurda zindagi hai

mujhe lagta hai ye gham ki sadi hai

jo raston mein bhaTakti phir rahi hai

ise pahchan fikr-e-zindagi hai

samundar ka tamawwuj abr-o-baran

zamin ke dil mein phir bhi tishnagi hai

har ek lamha hamara KHun-e-taza

mohabbat jonk ban kar chusti hai

ye sannaTa ye tanhai ye kamra

KHayalon mein chuDail ab nachti hai

main 'nayyar' kya dikhaun zaKHm dil ka

kisi ki aankh KHud nam ho gai hai

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariche So Gae Shab Jagti Hai In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Dariche So Gae Shab Jagti Hai is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Dariche So Gae Shab Jagti Hai for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Dariche So Gae Shab Jagti Hai in PDF.