Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak

girdab-e-reg-e-jaan se mauj-e-sarab tak

zinda hai to lahu mein bas ek iztirab tak

ek main ki ek gham ka taqaza na kar saka

ek wo ki us ne mang liye apne KHwab tak

tu lafz lafz lazzat-e-hijran mein hai abhi

hum aa gae hain hijrat-e-gham ke nisab tak

jo zer-e-ab-e-mauj-e-rawan hai KHuruj-e-ab

aa jae ek roz agar sath-e-ab tak

milta kahin sawad-e-warud-o-shahud mein

hota meri hudud ka koi hisab tak

tera hi raqs silsila-e-aks-e-KHwab hai

is ashk-e-nim-shab se shab-e-mahtab tak

aasar-e-ahd-e-gham hain tah-e-reg-e-jaan ki tu

pahuncha nahin abhi dil-e-KHana-KHarab tak

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Girdab-e-reg-e-jaan Se Mauj-e-sarab Tak in PDF.