Utar Kar Paniyon Mein Chand Mahw-e-raqs Rahta Hai

utar kar paniyon mein chand mahw-e-raqs rahta hai

meri aankhon mein kuchh is taur koi shaKHs rahta hai

ajab hairat hai akasr dekhta hai mere chehre ko

ye kis na-ashna ka aaine mein aks rahta hai

meri basti ka koi ghar bhi ghar jaisa nahin lagta

kahin tamir-e-baam-o-dar mein koi naqs rahta hai

jami hai gard aankhon mein kai gumnam barson ki

mere andar na jaane kaun buDha shaKHs rahta hai

chalo baad-e-saba ko jangalon se DhunDh kar laen

fasil-e-shahr mein 'azhar' bala ka habs rahta hai

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Utar Kar Paniyon Mein Chand Mahw-e-raqs Rahta Hai In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Utar Kar Paniyon Mein Chand Mahw-e-raqs Rahta Hai is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Utar Kar Paniyon Mein Chand Mahw-e-raqs Rahta Hai for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Utar Kar Paniyon Mein Chand Mahw-e-raqs Rahta Hai in PDF.