Na Jaane Sham Ne Kya Kah Diya Sawere Se

na jaane sham ne kya kah diya sawere se

ujale hath milane lage andhere se

shajar ke hisse mein bas rah gai hai tanhai

har ek parinda rawana hua basere se

jo us ki bin ki dhun par hua hai raqs-andaz

Thani rahi hai usi sanp ki sapere se

abhi ye raushni chubhti hui hai aankhon mein

abhi hum uTh ke chale aae hain andhere se

tumhaara shahr-e-nigaran to KHub hai 'azhar'

bacha ke lae hain dil aarzu ke ghere se

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Sham Ne Kya Kah Diya Sawere Se In English By Famous Poet Azhar Nawaz. Na Jaane Sham Ne Kya Kah Diya Sawere Se is written by Azhar Nawaz. Read famous Poem Na Jaane Sham Ne Kya Kah Diya Sawere Se for youth and Student by Azhar Nawaz. Free Download Na Jaane Sham Ne Kya Kah Diya Sawere Se in PDF.