Jaise Koi Rota Hai Gale Pyar Se Lag Kar

jaise koi rota hai gale pyar se lag kar

kal raat main roya teri diwar se lag kar

har ek ke chehre pe hai tashwish numayan

baiThe hain masiha tere bimar se lag kar

phulon ki mohabbat ne sabaq mujh ko sikhaya

zaKHmi jo hue hath mere KHar se lag kar

ghammazi-e-KHushbu pe khula raaz chaman mein

guzri hai saba gesu-e-dildar se lag kar

jab jab dil-e-wahshi ko tere gham ne sataya

hum baiTh gae zanu-e-ghamKHwar se lag kar

samjha use phulon ki nawazish dil-e-sada

jo zaKHm laga nok-e-sar-e-KHar se lag kar

'ejaz' koi shauq nahin sair-e-jahan ka

aaram se baiThe hain dar-e-yar se lag kar

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Koi Rota Hai Gale Pyar Se Lag Kar In English By Famous Poet Aziz Ejaz. Jaise Koi Rota Hai Gale Pyar Se Lag Kar is written by Aziz Ejaz. Read famous Poem Jaise Koi Rota Hai Gale Pyar Se Lag Kar for youth and Student by Aziz Ejaz. Free Download Jaise Koi Rota Hai Gale Pyar Se Lag Kar in PDF.