Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya

ek KHwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya

diwar-o-dar mein shoala-e-barham sa rah gaya

sher-e-watan ke pyale pe thin kal ziyafaten

aaya jo ta-ba-lab to faqat sam sa rah gaya

mana wafa barae-wafa ittifaq thi

tum sa raha koi na koi hum sa rah gaya

ek la-talluqi ki faza darmiyan rahi

jab do dilon mein farq bahut kam sa rah gaya

us sarw-qad ki tab-o-mulaem-ruKHi ka raaz

isyan ki shab mein dida-e-pur-nam sa rah gaya

aaKHir hui bahaar magar rang-e-gul ka KHwab

dil mein dua nigah mein shabnam sa rah gaya

ek us ke rang-e-ruKH ki junun-saz chhuT se

is zindagi mein KHwab ka aalam sa rah gaya

(1894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya in PDF.