Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai

ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai

tez dahakti aag zamin par KHandaq KHandaq chalti hai

aasebi si shamen le kar sayyaron mein ghum gai

koi hawa aisi hai ki duniya nind mein uTh kar chalti hai

kohsaron ki barf pighal kar dariyaon mein ja nikli

kuchh to pas-e-ab-e-rawan kar nabz-e-junun kya chalti hai

raat ki raat Thaharne wale waqt-e-KHush ki baat samajh

subh to ek darwaza-e-gham par duniya aankhen malti hai

KHush-bu shahr-e-badi ka jadu ek hadis-e-tilism hui

hauz mein khilta gul-e-bakauli KHush-bu is mein palti hai

qindil-e-rahib ka jadu aasebi taron ke moD

kaT ke waqt ki ek parchhain KHwab-numa si chalti hai

shams o qamar ki KHakistar mein ruh thi ek aaraish ki

duniya bich mein ja ke khaDi hai aur libas badalti hai

KHakistar dil ki thi aaKHir milti rakh mein taron ki

aatish-e-mahr sa jast sa karti bujhte bujhte jalti hai

mutrib-e-KHush-awaz hui hai zaKHm-awar aahang-e-bala

wo jo mere hisse ki lai thi tere gale mein Dhalti hai

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai in PDF.