Karam Ka Aur Hai Imkan Khule To Baat Chale

karam ka aur hai imkan khule to baat chale

is iltifat ka unwan khule to baat chale

kis intizar mein thi ruh-e-KHud-numai-e-gul

baras ke abr-e-bahaaran khule to baat chale

kuchh ab ke hum bhi kahen us ki dastan-e-visal

magar wo zulf-e-pareshan khule to baat chale

jafa ye silsila-e-sad-hazar-unwan hai

qamis-e-yusuf-e-kanan khule to baat chale

safar hai aur sitaron ka ek bayaban hai

musafiri ka bhi imkan khule to baat chale

tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua

kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale

sulag raha hai ufuq bujh rahi hai aatish-e-mahr

rumuz-e-rabt-e-gurezan khule to baat chale

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karam Ka Aur Hai Imkan Khule To Baat Chale In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Karam Ka Aur Hai Imkan Khule To Baat Chale is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Karam Ka Aur Hai Imkan Khule To Baat Chale for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Karam Ka Aur Hai Imkan Khule To Baat Chale in PDF.