Wo Ek Rau Jo Lab-e-nukta-chin Mein Hoti Hai

wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai

suKHan wahi dil-e-andoh-gin mein hoti hai

koi wo shak ka andhera ki jis ki jast ke baad

chamak si silsila-ha-e-yaqin mein hoti hai

bahaar chaak-e-gareban mein Thahr jati hai

junun ki mauj koi aastin mein hoti hai

wo KHak anjum o mahtab ko nasib nahin

jo mauj marg o numu ki zamin mein hoti hai

ghunuda din-e-buzurgan mein ab wo lau na rahi

jo ahd-e-nau ke gham-e-atishin mein hoti hai

ye raat tair-e-hijrat-zada ghanimat hai

tulu-e-subh sawad-e-kamin mein hoti hai

kabhi kabhi to harifana koi aatish-e-sang

farogh pa ke libas-e-nagin mein hoti hai

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek Rau Jo Lab-e-nukta-chin Mein Hoti Hai In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Wo Ek Rau Jo Lab-e-nukta-chin Mein Hoti Hai is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Wo Ek Rau Jo Lab-e-nukta-chin Mein Hoti Hai for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Wo Ek Rau Jo Lab-e-nukta-chin Mein Hoti Hai in PDF.