Na Badalna Tha Na Badla Dil-e-shaida Apna

na badalna tha na badla dil-e-shaida apna

rang har waqt badalti rahi duniya apna

surat-e-atish-e-KHamosh jala karta hun

dekhta hun shab-e-gham aap tamasha apna

zaKHm ne dad na di dard ne fariyaad na ki

rah gaya tham ke qatil bhi kaleja apna

husn hai dad-e-KHuda ishq hai imdad-e-KHuda

ghair ka daKHl nahin baKHt hai apna apna

wo sunen ya na sunen nala-o-fariyaad 'aziz'

aap hargiz na karen tark taqaza apna

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Badalna Tha Na Badla Dil-e-shaida Apna In English By Famous Poet Aziz Hyderabadi. Na Badalna Tha Na Badla Dil-e-shaida Apna is written by Aziz Hyderabadi. Read famous Poem Na Badalna Tha Na Badla Dil-e-shaida Apna for youth and Student by Aziz Hyderabadi. Free Download Na Badalna Tha Na Badla Dil-e-shaida Apna in PDF.