Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum

tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum

har ek mahfil hui gawara tumhaari mahfil se kya uThe hum

sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe hum

KHiraj ashkon ka KHun-e-dil se jo hum ko lena tha le chuke hum

na shama kanpi na git Dube uThe jo hum un ki anjuman se

chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the hum

na hum syahi na hum ujala charagh hain ashk-e-arzu ke

ki hum sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain sham se hum

nazar uThao to jhum jaen nazar jhukao to Dagmagaen

tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum

karen jo shikwa zaban kahan hai zaban mein tab-e-fughan kahan hai

kahan ka pardes kaisi ghurbat watan ki galiyon mein luT gae hum

hamari rudad muKHtasar hai wafa kahan ki jafa kahan ki

ba-rang-e-gul muskura diye wo ba-tarz-e-shabnam bikhar gae hum

'aziz-qaisi' kahan rahe to ki raat us but ki anjuman mein

hujum-e-naghma mein zikr sun kar kisi diwane ka ro paDe hum

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum in PDF.