Alf-e-laila Ki AaKHiri Subh

fasana kaise baDhe

na koi sahir-e-pazhmurda sin na saudagar

na chin se koi aae na baKHtar se koi

balaKH ke shahr mein aur qaf ke paristan mein

koi pari na pari-zad kaun aaega

fasana kaise baDhe

wilayaton ke faristad-gan-e-ishq to kya

kanar-e-bahr pe qazzaq bhi nahin koi

aza-kuninda-e-shab hai na hai payami-e-subh

na dasht-e-rah-zadagan mein hai sabz-posh koi

na dewta hai na autar hain na paighambar

fasana kaise baDhe

hazaron raaton ki wo dastan tamam hui

hazaron qisson ki wo raat KHatm par aai

bahana koi nahin

bas ab ki maal-e-shikast-e-bayan ki bari hai

fasana koi nahin ab to jaan ki bari hai

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alf-e-laila Ki AaKHiri Subh In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Alf-e-laila Ki AaKHiri Subh is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Alf-e-laila Ki AaKHiri Subh for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Alf-e-laila Ki AaKHiri Subh in PDF.