Rasul-e-kazib

rasul-e-maslub ke do hazar barson ke baad ye waqia hua

ye us zamane ki baat hai jab rasul-e-KHurshid ras-ul-aflak par chamakta tha

wo ek zamistan ki nim-shab ka saman tha

wo nim-shab ek raqiq chadar na jaane kab se zamin ke murdar kalbad par

paDi hui hai aur us ke masmum rauzanon se gale saDe jism ka taffun ubal raha hai

shajar hajar dhund ke kafan mein chhupi hui KHamushi ke sine mein chubh rahe the

anasir-e-waqt munjamid the

tamam ruhen fishaar-e-marqad mein mubtila thin

aur aise hangam mein ek aawaz-e-nur afgan

zuhur-e-KHurshid ki bashaarat se dasht o dar ko jala rahi thi

hazar-ha shab-gazidgan ke hujum se main ne us ko dekha

wo KHun-e-adam mein apni zinda KHizan-zada ungliyan Duboe khaDa tha

hujum se ek ek gunahgar ko bulata aur us ke mathe pe kalma-e-subh likh raha tha

tamam murde KHizan-zada ungliyon ke chhune se jagte the

gunahgar-e-nafs tha main bhi

ummid-war-e-shifa tha main bhi

phir us zamistan ki nim-shab mein hazar lamhat shaq guzre

aur ek lamhe ne mere zaKHm-e-jigar ko chhu kar kaha

madawa-e-gham ki saat qarib hai

sajda-rez ho ja

ye us zamane ki baat hai jab zamin ke be-shumar murde lahu ka baptisma le rahe the

lahu ka baptisma le rahe hain

rasul-e-KHurshid ki sada bhi to mar gai thi kohar mein wo kho gaya aur

usi zamistan ki nim-shab mein KHabar mili hai

usi shabistan-e-nur-o-nikhat mein be-kafan lash par wo baiTha hua hai

apne KHizan-zada hath se kisi ke lahu ki taqtir kar raha hai

aur apne kase ko bhar raha hai

KHabar mili hai,

lahu wo KHurshid ka lahu hai

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasul-e-kazib In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Rasul-e-kazib is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Rasul-e-kazib for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Rasul-e-kazib in PDF.