Sham Aai To Koi KHush-badni Yaad Aai

sham aai to koi KHush-badni yaad aai

mujhe ek shaKHs ki wada-shikni yaad aai

mujhe yaad aaya ki ek daur tha sargoshi ka

aaj usi daur ki ek kam-suKHani yaad aai

masnad-e-naghma se ek rang-e-tabassum ubhra

khilkhilati hui ghuncha-dahni yaad aai

lab jo yaad aae to boson ki KHalish jag uThi

phul mahke to mujhe be-chamni yaad aai

phir tasawwur mein chali aai mahakti hui shab

aur simTi hui be pairahani yaad aai

han kabhi dil se guzarta tha julus-e-KHwahish

aaj usi tarah ki ek nara-zani yaad aai

qisa-e-rafta ko dohra to liya 'azm' magar

kis masafat pe tumhein be-watani yaad aai

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Aai To Koi KHush-badni Yaad Aai In English By Famous Poet Azm Bahzad. Sham Aai To Koi KHush-badni Yaad Aai is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Sham Aai To Koi KHush-badni Yaad Aai for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Sham Aai To Koi KHush-badni Yaad Aai in PDF.