Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha

wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha

main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha

main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage

aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha

main ne KHushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi

rang ko fasla rakhne ki riayat likkha

husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi

shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha

main ne tabir ko tahrir mein aane na diya

KHwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha

koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne

qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha

itne daon se guzar kar ye KHayal aata hai

'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha In English By Famous Poet Azm Bahzad. Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha in PDF.