Pyara Pyara Ghar Apna

wo chain kahan apne ghar ka wo baat kahan apne ghar ki pyara pyara ghar apna

wo raj kahan apne ghar ka wo raat kahan apni ghar ki aankhon ka tara ghar apna

sukh chain agar duniya mein hai apne hi ghar mein milta hai sukh ka sahaara ghar apna

dukh-dard ki gar koi dawa hi apne hi ghar ki siwa hai dukh ka mudawa ghar apna

wo ghar wali sundar chatera ghar ki sewa karne wali dil ka dilasa ghar apna

aaram hamein dene wali aap musibat bharne wali jaan se pyara ghar apna

aankhon ke tare laDle ghar ke sab mil kar ghar sar pe uThate dudhon nahaya ghar apna

hanste-hansate ruThte mante sunte kahani sote-sulate basa-basaya ghar apna

hum par jaan chhiDakne wala wo parwan chaDhane wala palne wala ghar apna

wo balwan banane wala wo insan banane wala Dhaalne wala ghar apna

wo pak hawa apne ghar ki pyar ki jila apne ghar ki dil mein samaya ghar apna

isar-e-wafa apne ghar ka wo dard diya apne ghar ki ruh pe chhaya ghar apna

jaD buniyaad watan ki ghar hai watan gharon ka apne ghar hai apne gharon ka ghar apna

apne ghar pe nisar watan hai aur watan ke sadqe ghar hai watan ka shaida ghar apna

watan ki chahat apne ghar se watan ki taqat apne ghar se watan ka pyara ghar apna

watan ki daulat apne ghar se watan ki izzat apne ghar se raj dulara ghar apna

(1317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyara Pyara Ghar Apna In English By Famous Poet Azmatullah Khan. Pyara Pyara Ghar Apna is written by Azmatullah Khan. Read famous Poem Pyara Pyara Ghar Apna for youth and Student by Azmatullah Khan. Free Download Pyara Pyara Ghar Apna in PDF.