Lafzon Ke Khel

lafzon ke khel bahut ajib hote hain

kabhi aasaman par le jate hain

aur kabhi zamin par de marte hain

ye kapDon ke rangon se ziyaada

kabhi bahut gahre

kabhi bahut halke

suron mein

dhime dhime

KHun sairab karte hain

aur kabhi ek ek qatra nichoD lete hain

ye aaram-deh bistar par hum se ham-bistari karte hain

aur kabhi hamari aanwal nal se chipak jate hain

aur jab tak hum zinda rahte hain

ye hamein loriyan dete hain

aur kabhi hamein achanak mar jaane par

majbur karte hain

aur ye lafz hi elan karte hain

ki kis jagah kis tariKH ko

hum kahan murda haalat mein pae gae

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafzon Ke Khel In English By Famous Poet Azra Abbas. Lafzon Ke Khel is written by Azra Abbas. Read famous Poem Lafzon Ke Khel for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Lafzon Ke Khel in PDF.