Samundar Ki KHushbu

samundar ki KHushbu mere peT

mein ghul rahi hai

wo zara fasle par hi bichha hai

aur KHamoshi se aasman ko KHud ko

takte hue dekh raha hai

main ek kamre mein

surKH qalin par yoga aasan karte hue

aankhen munde

apne dil ki aawaz sun rahi hun

jo aaj sukun se hai

jaise koi bahut thak kar soya ho

waswason ke darmiyan se nikal kar

main apne dil ki is aasudgi par

KHush hun

jaise koi man apne bimar bachche ko

aaram se sote dekh kar

chain ka sans leti hai

mere peT mein samundar ki KHushbu

ek waqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai

us waqt se pahle

jab ek bar phir mera dil sote se

jage

apne waswason se khelne ke liye

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Ki KHushbu In English By Famous Poet Azra Abbas. Samundar Ki KHushbu is written by Azra Abbas. Read famous Poem Samundar Ki KHushbu for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Samundar Ki KHushbu in PDF.