TukDon Mein BaTi Hui Zindagi

pahle hum zindagi ko TukDon mein

taqsim karte hain

aur phir

in TukDon ko rakh kar

bhul jate hain

ye bhul hamare jism ko

ek jal mein lapeT leti hai

kaun sa TukDa

kahan rakha tha

jis ki zarurat paDti hai

waqt par wo nahin milta

hum sari zindagi

zarurat ke waqt

apni zindagi ke TukDe

talash karte rahte hain

lekin

be-tartibi aur bhul-bhulayyan

jari rahti hain

zindagi guzar jati hai

aur guzar jaane ke baad

TukDe aapas mein mil jate hain

ya koi dusra unhen jama kar leta hai

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TukDon Mein BaTi Hui Zindagi In English By Famous Poet Azra Abbas. TukDon Mein BaTi Hui Zindagi is written by Azra Abbas. Read famous Poem TukDon Mein BaTi Hui Zindagi for youth and Student by Azra Abbas. Free Download TukDon Mein BaTi Hui Zindagi in PDF.