Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein

kaise kaise swang rachae hum ne duniya-dari mein

yun hi sari umar ganwa di auron gham-KHwari mein

hum bhi kitne sada-dil the sidhi sachchi baat karen

logon ne kya kya kah Dala lahjon ki tah-dari mein

jab duniya par bas na chale to andar andar khuDhna kya

kuchh bele ke phul khilaen aangan ki phulwari mein

kai dinon se jism o jaan par ek be-kaifi chhai hai

bhig rahi hai raat sunao koi ghazal darbari mein

aane wale kal ki KHatir har har pal qurban kiya

haal ko dafna dete hain hum jine ki tayyari mein

tum bhi in bite barson ki koi nishani le aana

main tum se milne aaungi isi basanti sari mein

ab ki bar jo ghar jaana to sare album le aana

waqt ki dimak lag jati hai yaadon ki almari mein

(1375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein In English By Famous Poet Azra Naqvi. Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein is written by Azra Naqvi. Read famous Poem Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein for youth and Student by Azra Naqvi. Free Download Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein in PDF.