Unhen Mujhse Shikayat Hai

unhen mujh se shikayat hai ki main mazi mein jiti hun

mere ashaar mein aaseb hain guzre zamanon ke

wo kahte hain ki yaaden sae ki manind mere sath rahti hain

ye sach hai is se kab inkar hai mujh ko

main aksar jagte din mein bhi aankhen mund leti hun

koi surat koi aawaz koi zaiqa ya lams jab jadu jagata hai

to gard-alud mina-taur taswiren achanak bolne lagti hain naTak-manch sajta hai

kisi TuTe hue sanduq mein rakkhe hue

bosida maKHtute se koi dastan tamsil ban jati hai

ji uThte hain sab kirdar mazi ke

sipahi baadshah KHilat nawadir raqs-o-mausiqi

kisi ke panw mein pael dhanak aanchal

kisi shamshir ki bijli ghani barsat ki badli

kisi bara-dari mein rag dipak ka

kisi sehn-e-gulistan mein kadam ke peD par baiThi hui chiDiyan

achanak jag jati hain

kisi gumnam qasbe mein koi TuTi hui mehrab KHasta-haal-DewDhi ki jhalak

madum kar deti hai hotel chae-KHane bas ke adde Dher kuDe ke

kai sadiyan guzar jati hain sar se

aur koi gum-gashta shahr-e-raftagan bedar hota hai

isi manzar ka hissa ban ke main taswir ho jati hun kho jati hun mazi mein

mein aksar aabna-e-waqt par kaghaz ki naw Dal deti hun

to pani apna rasta moD deta hai

main jab chahun

saloni sanwli naT-khaT madhur yaaden uTha laun laDakpan ke gharondon se

main jab chahun to kali koThari mein qaid

ranjida pasheman zaKHm-KHurda-saaton bite dinon ko pyar se chhu kar

dilasa dun thapak kar loriyan dun

KHub roun KHub roun shant ho jaun

ye mazi mera mazi hai

faqat mere tasarruf mein hai

meri milkiyyat hai mera wirsa hai

na mera haal par bas hai

aur aane wala kal bhi kis ne dekha hai

(1788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhen Mujhse Shikayat Hai In English By Famous Poet Azra Naqvi. Unhen Mujhse Shikayat Hai is written by Azra Naqvi. Read famous Poem Unhen Mujhse Shikayat Hai for youth and Student by Azra Naqvi. Free Download Unhen Mujhse Shikayat Hai in PDF.