Ab Apni ChiKH Bhi Kya Apni Be Zabani Kya

ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

mahz asiron ki mahsur zindagani kya

ruten jo tu ne utari hain KHub hongi magar

babul-sej pe sajti hai gul-fishani kya

hai jism ek tazadat ke kai KHane

karega par inhen ek rang-e-asmani kya

hazar karwaTen jhankar hi sunati hain

yun jhaTpaTane se zanjir hogi pani kya

zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe

qalam bhi chup hai ki ab moD le kahani kya

ana to qaid ki tashhir se gurezan thi

pukar uTThi magar meri be-zabani kya

main KHushk naKHl si jangal tawil tez hawa

bikher degi mujhe bhi ye be-makani kya

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Apni ChiKH Bhi Kya Apni Be Zabani Kya In English By Famous Poet Azra Parveen. Ab Apni ChiKH Bhi Kya Apni Be Zabani Kya is written by Azra Parveen. Read famous Poem Ab Apni ChiKH Bhi Kya Apni Be Zabani Kya for youth and Student by Azra Parveen. Free Download Ab Apni ChiKH Bhi Kya Apni Be Zabani Kya in PDF.