Be-KHuda Hone Ke Dar Mein Be-sabab Rota Raha

be-KHuda hone ke Dar mein be-sabab rota raha

dil ke chauthe aasman par kaun shab rota raha

kya ajab aawaz thi sote shikari jag uThe

par wo ek ghayal parinda jaan-ba-lab rota raha

jate jate phir december ne kaha kuchh mang le

KHali aankhon se magar dil be-talab rota raha

main ne phir april ke hathon se dil ko chhu liya

aur dil sayon se lipTa sari shab rota raha

us ne mere nam suraj chand tare likh diya

mera dil miTTi pe rakh apne lab rota raha

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHuda Hone Ke Dar Mein Be-sabab Rota Raha In English By Famous Poet Azra Parveen. Be-KHuda Hone Ke Dar Mein Be-sabab Rota Raha is written by Azra Parveen. Read famous Poem Be-KHuda Hone Ke Dar Mein Be-sabab Rota Raha for youth and Student by Azra Parveen. Free Download Be-KHuda Hone Ke Dar Mein Be-sabab Rota Raha in PDF.